Saturday, July 10, 2010

urdu poetry part 263

Zindagi ki uljhano'n se jab bhi ghabrane laga..
Mai kalaam-e-paak padh kar khud ko suljhane laga..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI



Jaan payega bhala kaise woh raaz-e-kayinat..
Jo kabhi Qur'aan ki tafseer hi padhta nahi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.


Ye bekhabar nujumi tumhe kya batayenge..
Kal hone wala kya hai ye Qur'aan me padho..

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
(Kolkata)



Tu ne jise Lapait ke juzda'n me rakh diya..
Nadaan ! Hai wahi teri manzil najaat ki..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Mil jayegi janab tumhe daulat-e-suku'n.
Jeene ka tarz pawoge Rab ki kitaab se.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore
(Karnataka)



Khushi se MAA ko kaha'n kuchh sujhayi deta hai..
Jo Beta haath me pehli kamayi deta hai..

SHAYIR:
PURAN EHSAN,
Pathankot.



Bete ka jurm kya hai ye MAA puchhti rahi..
Lekin woh bin bataye usay marte rahe..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal. (Karnataka)


Darya ne sookh kar mujhe hairaan kar diya..
Uss paar ka safar mera asaan kar diya..

SHAYIR:
Dr. Ravi zia,
Pathankot (Punjab)



Jin dosto'n ki mujh ko rafaqat pe naaz tha..
GOUHAR woh rafta rafta adakaar ho gaye..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore..



Mah-jabee'n gasht ko jab su-e-chaman jaate hain.
Mere ash'aar unhe dekh ke ban jaate hain.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.

No comments: