Samajh rahe hain woh Gulchee'n ko
Paasban-e-chaman..
Gulo'n se keh do k ab gulsita'n ki khair nahi..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Kabhi deta hai woh khushiya'n Kabhi dil bhi dukhata hai.
Khuda bande ko apne har tarah se aazmata hai.
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Meri barbadi ka charcha ho raha hai har taraf..
Dar rahi hun naam tera bhi na aa jaaye kahein..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Dunya ki mushkilaat pe ghalib rahunga mai..
Bas aap ki taraf se zara hausala mile..
SHAYIR:
SALMAN ZAFAR ANJAN
*******
Zindagi ki dawd me aisa bhi aksar ho gaya..
Uske peechhe bhaagte rehna muqaddar ho gaya..
SHAYIR:
MATEEN ANSARI.
(Pune)
Meri ghazlo'n ka har ek lafz mahek uttha hai..
Tere phoolo'n se labo'n ne jo chhuwa hai usko..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
(U.P.)
Rooth jaogi to mana lunga,Dil k andar tumhe basa lunga.
Lakh aansu ho'n meri aankho'n me,Tum kahogi to muskura lunga.
HAIDER
Manzil zaroor aayegi Qadmo'n me ek din.
Ye soch kar hi koyi musalsal safar me hai.
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga (Bihar)
Jeene ki justju hai na marne ki aarzu..
Layi hai kis maqam pe ye zindagi mujhe..
SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)
Dushman jo Hamare hain rafeeqo'n se hain behtar.
Peechhe se nahi karte hain ye unki tarah waar.
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI
No comments:
Post a Comment