Woh jisko samjhe thay ham na-khuda wahi aakhir..
Hamari kashti-e-dil ko bhanwar me chhod gaya..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI
Ham toh kisi ko dil ki na apni suna sake.
Yu'n toh mile thay dost magar motabar na thay.
SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)
Khud ki nazar lage na kahein is liye Nizam..
Aayina saamne se hata kar Ghazal kahi..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam.
(Hubli)
Jisne bakhsha hai ye jeevan hai amanat uski.
Zinda auro'n ko bhi rehne do jiwo tum khud bhi.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Dushman jo harame hain rafeeqo'n se hain behtar.
Peechhe se nahi karte hain ye unki tarah waar.
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI
Kar rahi hai maut peechha zindagi ka is tarah.
Jaise Bulbul ke ta'aqub me koyi Saiyad hai.
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Phir falak pe chaand nikle doodhiya si raat ho..
Jab bhi ham tum milne aaye'n phir wahi barsaat ho..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Ban sanwarne me lagi rehti thi bachpan me sada.
Ek muddat ho gayi ab aayina dekhe huwe.
SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.
Jeet kar bhi haar di hai aap ne nafrat ki jang.
Haar kar bhi ham ne baazi pyar ki haari nahi.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Mere sher kehne k shughl par thay khafa khafa se sabhi magar.
Ye junoon hi mere dosto mere dard-e-dil ki dawa huwa.
-BISMIL
No comments:
Post a Comment