Haai ! Mere sar se jab se MAA ka saya utth gaya..
Zindagi ki chilchilati dhoop me jalta hun mai..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Mujh se kehti hai hamesha waqt-e-rukhsat meri MAA.
Ja tere sar par duawo'n ka meri saya rahe.
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal.
9 Maheeno tak jise rakkha tha apne pet me..
Aaj kone me padi hai MAA usi Bete ke ghar..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..
Jab zamane ko mujhe chhune se ghin hoti thi..
Tu ne us waqt bhi chooma hai meri MAA mujh ko..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
Usko hi das raha hai kisi naag ki tarah..
Jis MAA ne tujh ko doodh pila kar bada kiya..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Dil kisi bhi MAA ka patthar ho nahi sakta kabhi..
Sangdil aulaad lekin ranj deti hai usay..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Asr-e-hazir ka bashar bhool gaya MAA ka maqam..
Aaj har shakhs nazar aata hai Biwi ka ghulam..
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI
Woh kabhi pardes se mayoos lauta hi nahi..
Le ke ghar se jo gaya MAA ki dua pardes me..
SHAYIR:
SABA Darbhangvi,
(Bihar)
Har ek mushkil meri asaan ho jaati hai SHAYISTA..
Mujhe pardes me MAA ki duaaye'n yaad aati hain..
SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL
Kabhi sar par jo mere pyar se MAA haath rakhti hai..
Mere atraaf mandlati museebat door hat'ti hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
No comments:
Post a Comment