urdu Dil ke zakhmo'n ko kabhi khushk na hone denge..
Ham ne palko'n me chhupa rakkha hai sawan jana'n..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Chalte thay seena taan ke jo log bekhatar..
Saya woh apna dekh ke saaye se dar gaye..
SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI,
Rajasthan.
Phool ki patti se bhi nazuk hai insa'n ka vujood..
Tod sakta hai magar ye saari dunya ka jamood..
SHAYIR:
SYED BHATKALI
Chadta sooraj poojna achchha nahi hai chhod de..
Dopaher ke baad phir woh doobta hi jayega..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
Laut kar woh aa bhi sakta hai ye jab aaya khayal..
Hijr ki tareekyo'n me ek diya jalne laga..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Tahreer meri padh nahi payega woh kabhi.
Aankho'n se ashk gir ke bhigote rahenge khat.
SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.
Sangdil mujh ko tu patthar na samajhna hargiz..
Mom hun mai teri chahat me pighal sakti hun.
SHAYIRAH:
KHUSHBU SHARMA
Jo log sidq-e-dil se nib**** nahi hain pyar.
Milti hain unko
raah-e-mohabbat me thokare'n.
SHAYIRAH:
ZOYA TASKEEN,
Srinagar.
Dil me mere jab tum aaye mujh ko yu'n mehsoos huwa.
Dheere dheere jaise koyi CHAND samandar me utre.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
No comments:
Post a Comment