Monday, May 17, 2010

poetry part 41

Kuchh aise rang dikhaye gham-e-jaha'n ne hame'n.
Dilo'n se pyar ka sara khumar jata raha.

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
(BHOPAL)





Mahek kirdaar se tere agar aaye toh behter hai..
Faqat phoolo'n se daman ko saja kar kuchh nahi milta..

(SHAMEEM KIRATPURI)





Odh kar chehre pe apne muskurahat ki rida..
Phir raha hun mai hawadis ke nagar me aaj kal..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...





Najane khwahishe'n kitni woh paale baitha hai.
Jo apni marzi se ek saans bhar nahi sakta.

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi





Rehta hun us ke waaste bechain jaane kyun..
Jis ne mera mizaaj bhi puchha nahi kabhi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)





Ab gham ka gham mujhe na khushi ki khushi mujhe.
Ek bojh lag rahi hai meri zindagi mujhe.

SHAYIR:
FAROOQ FARHAT,
Vaniyambadi





Qusoor-waar tha woh ho gaya riha phir bhi..
Mai be-gunaah mujhe di gayi saza phir bhi..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Ab aisi waadiyo'n se laut aaya hun mai ghabra kar..
Jaha'n tha sirf mai bas aur teri yaado'n ka mela tha..

(SHAMEEM HAYAT)





Woh na aaye
gulshan-e-dil me mere..
Bin khile hi phool murjhane lage..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
(Karnataka)





Unhe gar naaz hai BISMIL ke woh hai
maah-paaro'n me.
Hame'n bhi fakhr hai apni jawani b misali hai.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.

No comments: