Monday, May 17, 2010

urdu poetry part 38

Ham ne jis dard se kal paayi thi mar mar ke najaat..
Aaj seene me wahi dard utha chahta hai..


SHAYIR:
MAHB00B RAHI, Akola.




Aag lagni thi lag chuki ghar ko.
Aansuwo'n se bujha nahi sakta.


SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Maha kali road,
Chickballapur




Khud ko chhupao lakh Libas-e-nashat me.
Sab kuch samjh gaye hain jabee'n ki shikan se ham.


SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har




Aa jaao intizar na ab kar sakunga mai..
Dunya hai chaar roza ye tum ne suna nahi ???


SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki, Bhatkal.




Waqt-e-subh sabze pe jaise wos ki bonde'n gire..
Rooh par yu'n chhod kar apna asar jaate ho tum..


SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT




Tujh tak pahonch na payega koyi bhi hadisa..
Mabaap ki duawo'n ki barkat ke saath chal..


SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.




Woh meri tabahi par masroor toh hain KHALID.
Dunya me hai aakhir toh mera bhi Khuda koyi.


SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.




Sar chhupane keliye jisko jaga di mai ne..
Ghar se jab nikla mere kar ke tamasha nikla..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.




Na hasrat aish-o-ishrat ki Na daulat ki tamanna hai.
Mujhe har haal me bas aap hi ke sang rehna hai.


SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK

No comments: