Monday, May 17, 2010

urdu poetry part 36

Chahat se uski itna manoos ho gaya hun.
Sab heach sa lage hai uski wafa k aage.

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif,
Chickballapur





Pata dete hain gulshan me teri maujoodgi ka..
Hawa sargoshiya'n karti hai Ghunche bolte hain..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI, Akola.





Tum se mai ummeed toh khushiyo'n ki rakhta hun magar.
Meri aankho'n me hamesha ranj bhar jaate ho tum.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





Diwana kiya hai mujhe chahat ne kisi ki..
Maqtal bhi mujhe
kucha-e-dildaar lage hai..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi.





Tujhe toh naaz hai
Ay shaikh sar jhukane par..
Sujood hi se koyi paarsa nahi hota..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali,
(Karnataka)





Bhool baithe hain woh hame'n lekin..
Yaad ham subh-o-shaam karte hain..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Nethaji nagar,
Vaniyambadi.





Unse puchha mai ne jab tark-e-ta'alluq ka sabab..
Woh mujhe Heero'n jude kangan dikha kar ro pade..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT





Chhalak ke aa gaya aankho'n me dard seene ka..
Kisi ne baat uthayi jo muskurane ki..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi. (U.P.)





zaar-o-qataar rone ka arman dil me hai..
Tujh se bichhad ke milne ki naubat kab aayegi..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.





Meri Maa ki duawo'n ki zara taseer toh dekho..
Bichhe hain raah me kaante magar woh phool lagte hain..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN

No comments: