Monday, May 17, 2010

poetry part 44

Sitam karne se pehle soch lo Biwi pe tum apni,
Agar Damaad bhi tumsa hi mil jaaye toh kya hoga?

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali





Har gham ko muskura ke gale se laga liya..
Zakhm-e-jigar ko ham ne hansi me chhupa liya..

SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.





Shaam se pehle na bujh paaye charagh-e-hasrat..
Reh na jaaye meri ummeed tamasha ban kar..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal.





ASLAM badi ajeeb hai ulfat ki zindagi..
Yu'n ro raha hun mai k meri aankh nam nahi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.





Chaman me jab kabhi sair-e-chaman ko aap aate hain.
Chaman ka ghuncha ghuncha taazgi ki baat karta hai.

SHAYIR:
IMRAN ADEEB





Kandha mila ke ab tak jo saath chal raha tha..
Woh ja raha hai mujh ko dhakka laga ke aage..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.





Ye zakhm dil ka hai k mahekta gulab hai..
Ud ud ke mere paas jo aati hain titliyaa'n..

SHAYIR:
Ramachandra
RAJ PREMI.





Kisi ki yaad me aansu baha kar kuchh nahi milta..
Mohabbat me khushi apni ganwa kar kuchh nahi milta..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD





Tum ko maloom nahi kitni khubsurat ho..
Phool khud apni hi khushbu ka raaz kya jaane..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.





Bahut dushwar hai pehchan apni..
Kayi khano'n me ab ham bat gaye hain..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore..
(Karnataka)

No comments: