Monday, May 17, 2010

urdu poetry part 37

Ab haal mera ye hai k jeene ki hawas hai..
Maazi me thi har gaam pe marne ki tamanna..

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM, Bhatkal.


Ye faqat jazbaat ka izhaar hai..
Isliye mujh ko GHAZAL se pyar hai..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Devargudihal road,
(Hubli)


Tumhari bazm ko abaad karne keliye yaaro..
Ham Hasrat Aarzu Khwahish Tamanna chhod aaye hain..

SHAYIR:
Zia Karnataki...


Bin jahez ke unse kaun nata jodega..
Ye ghareeb ke ghar ki Betiya'n samajhti hain..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.


Gulshan ujaadne me khud unka bhi haath tha..
Jo cheekhte hain ab k gulista'n ujad gaye..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.


Insaniyet ki hai yahi pehchan dosto..
Achha sulook keejye har aadami ke saath..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, Darbhanga, Bihar.


Mili aasayish-e-dunya usay izzat bhi shohrat bhi..
Sabhi kuchh pa liya phir bhi kami ki baat karta hai..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB


Aankho'n ki ye barsate'n ai kaash k tham jaaye'n..
Woh laut ke aa jaaye'n ya unko bhula baithu'n..
-
Dr. Virottama Sargam.


Usay tanhayiyo'n me jab hamari yaad aayegi.
Toh woh rone se pehle hi diya ghar ka bujha dega.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, Bihar.



Tere baghair hai dil me ajeeb sannata..
Na ho makeen toh lagta hai ye maka'n tanha..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.

No comments: