Tuesday, June 1, 2010

urdu poetry part 211

Ruth ko bhi badalne me chaar maah lagte hain.
Aadami magar BISMIL daf'atan badalta hai.

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)







Jis jaga hoti hai daulat ki parastish yaaro..
Bhool kar bhi na waha'n Beti ka rishta karna..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Apni dunya-e-sukhan me ye ada rakhta hun.
Apne Ash'aar ko auro'n se juda rakhta hun.

SHAYIR:
A.KHALIQ ANEES,
Jamia Abad. Bkl







Gehrayiya'n jazbaat ki naapi nahi jaati..
Ikhlaas ko meezan me tola nahi karte..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola. (Maharashtra)







Milenge senkdo'n tum ko jaha'n me chahne waale..
Magar MAA ki tarah koyi mohabbat kar nahi sakta..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Hame'n barbaad karne me thay apne bhi paraye bhi..
Sabab lutne ka aakhir ham bhala kis se baya'n karte..

SHAYIR:
NAZEER RAHI







Kya jaanye paa kar usay kya haal ho iska..
Dil soch ke jis shakhs ko betaab lage hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)







Kya jaanye paa kar usay kya haal ho iska..
Dil soch ke jis shakhs ko betaab lage hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)







Zulm seh kar bhi musalsal aah tak karta nahi..
Puchhte hain log mujh se be-zaba'n ye kaun hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.







Unka khayal Zeest ka gham Fikr-e-rozgaar..
2 din ki zindagani me kya kya kare koyi..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.

No comments: