Hasratein toot gayi kitni Sitaaro ki tarah.
Hum khade reh gaye khamosh Minaaro ki tarah.
SHAYIR:
JALAL MEHMOODI,
Bhadravathi
Tu haseen hai Tu jameel hai Tu to rang-o-noor ki jheel hai.
Mai fida B tujh pe agar huwa Mere dil ki isme khata nahi
-BISMIL
Agar aap se dil lagaya na hota..
Toh Mahshar se pehle Qayamat na hoti..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi..
*** ***
Zindagi bhar bhi teri khidmat agar karta rahun..
Ay meri MAA ho nahi sakta hai tera haq ada..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Roshni ban ke maa ki dua saath thi..
Jab bhi bhatka hun rasta dikhati rahi..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore..
Dear readers,
Enjoy the colourful urdu couplets of renowned poets of India & also persuade ur dear ones to activate GHAZAL4U.
Machne lagi hai Chand Sitarau me khalbali,
Chhat par naqab shab me uthaya na keejye.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar,U.P.
Koyi na jane kya guzri,
Lab pe tabassum Dil ranjoor.
Teri khushiyo k khatir,
Teri judayi bhi manzoor.
SHAYIR:
SYED Bhatkali.
Husn hai uska La-saani,
Jannat ki ho jaise hoor..
Sooraj Chand Sitaro se,
Uska chehra hai pur-noor..
SHAYIR:
SYED Bhatkali..
Tum udhar chup huwe ek khoon-e-tamanna kar ke.
Hum idhar chashm-e-tamanna ko bhigote aaye.
SYED JALAL MEHMOODI,
Bhadravathi.
No comments:
Post a Comment