Aurat hi ke dam se hai munavvar ye zamana..
Allah ka sab se bada inaam hai Aurat..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkal.
Jeete ji bhool kar bhi vasiyet na keejye..
Khud aap apne Qatl me shirkat na keejye..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore..
Tumhe dekh kar mujh ko lagta hai aise..
K khwabo ki rangeen ta'beer tum ho..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Hari Har..
Woh dagha hum se karega hamein aaya na guman tak..
Aisa woh nahi tha usay samjha tha jahan tak..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI.
Ashko se tum lakh bujhawo bujhne waali aag nahi ye.
Jitna bujhana chaho utni pyar ki agni badhti jaaye.
SHAYIR:
SUHAIL NIZAM
Dil ka har ek gosha hai weeran tere baghair..
Chehre se mere dard ka izhar ho na ho..
SHAYIRAH:
NOORI PARVEEN, Kolkata.
Be-naqab aayenge aaj woh sar-e-mehfil..
Husn ki adalat me dil ka faisala hoga..
SHAYIR:
Anees Ibrahim,
Bangalore..
Ek bar mohabbat me jo kha jaate hain dhoka..
Phir dil woh lagane ki jasarat nahi karte..
SHAYIR:
SHAUKAT ALI, DELHI..
Tareekiyo'n pe khoon na roye toh kya karen..
Baagh-e-wafa me roshni bo kar gaye thay hum..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Mil kar jo aap raah me hum se bichhad gaye..
Aabad phir na ho sake hum yun ujad gaye..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
No comments:
Post a Comment