Mana k teri aankh ka tara nahi raha..
Ab sabr ke siwa koyi chara nahi raha..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkal.
Jahan ki gardisho se jang kar sakte hain sab lekin.
Muqaddar se koyi insaan apne lad nahi sakta.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Har cheez zamaane ki 2 din ki amanat hai..
Harjayi hai har lamha tera hai na mera hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar.
Aayi khabar ke unka bhi apna hi haal hai..
Dard-e-jigar badha gaya
Paigham aur bhi..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Saare insaan hain mitti ke khilone ZAHID..
Waqt rondega unhe aur guzar jayega..
SHAYIR:
AKBAR ZAHID, AH.
Vaniyambadi.
Biwi ki mohabbat me na kar Maa ko faramosh..
Nadaan ! Tere haq me dua kaun karega..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkal..
Varaq varaq pe thi raqam jo meri dastan-e-ishq..
Mujh se chheen kar wahi kitab koyi le gaya..
SHAYIR:
HAROON SAIT SALEEM.
Har ek lafz hai uljhi paheliya jiska..
Woh mere haat me aisi kitab chhod gaya..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar, U.P.
Nafrat fareb-o-zulm ki diwar tod do..
Toote huwe dilo ko mohabbat se jod do..
SHAYIR:
RAJ PREMI,
Yeshwanthpur,
Bangalore..
Kis dil se tu ne hukm bhulane ka de diya..
Kis dil se teri yaad bhulaya kare koyi..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
No comments:
Post a Comment