Ek halki si jhalak bazm me dikhla ke mujhe..
Umr bhar keliye bimar kiya hai tum ne..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Talib hun kab se aap ke didaar ka sanam..
Bimar-e-dil ko dard ki kuchh toh dawa mile..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.
Tumhe chhu k aayi hai ghaliban A hawaye'n fasl-e-bahar ki.Meri saans saans mere hamsafar teri khushbuwo se mahek uthi.
RAHAT
Bhari mehfil me tanha ho gaya hun..
Teri yaado ka lashkar das raha hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore...
* * * *
Aise toh nahi thay tum phir kyun ye nazuk rishta toot gaya.
Ye dhoka tha ya majburi ab kuch na bataao rehne do.
-NIYAZ UMARI
Achha laga tha par usay chaha nahi kabhi.
Is daur-e-khud gharaz ki mohabbat se dar gaya.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Chheda jo tum ne ahd-e-guzishta ka tazkira.
Jo zakhm mit gaye thay woh phir se ubhar gaye.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore
Dushwaari se ghabra kar tu apni raah badalta hai.
Bhool gaya gar Rab chaahe aandhi me dipak jalta hai.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Tarakeeb se aur chize'n judengi..
Ye dil toot jaaye toh judta nahi hai..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickaballapur..
No comments:
Post a Comment