Tum aao laut kar mujh ko ye aitibar nahi..
Isiliye toh ab mahwe intizar nahi..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF, Chikballapur.
Shayed rahunga aaj tar-o-tazah din tamaam..
Muddat ke baad aaye woh kal mere khwab me..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Jaise dhadak uthe mere seene me zalzale..
Qabu nahi hai dil pe tujhe dekhne ke baad..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har..
Pyar dunya ko kab gawarah hai,Aaj ikhlas be-sahara hai.
Dushmano se jo bach k nikla tha,Dosto ne usi ko mara hai.
-RAJ PREMI
Jangalo me ab ja kar apna ghar basayein hum..
Shehr me darindo ke har qadam pe daire hain..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
Diye thay zakhm jo tum ne woh ab tak dil me baqi hain..
Mohabbat ki amanat me khiyanat ho nahi sakti..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Hum darya ke do hain kinaare mil jayenge kaise hum.
Hum chalte hain saath me lakin beech me darya chalta hai.
-SHAMEEM HAYAT
Chal kahein aur banale tu nasheman apna..
Ab tere waaste gulshan me raha kuchh bhi nahi..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.
Yaad kar ke uss jafa-pesha ko ab tanhayi me..
Aatish-e-furqat me jalne ka maza leta hun mai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..
Chain loota mere dil ka mujhe tadpayi hai..
Chandni raat me jab bhi teri yaad aayi hai..
SHAYIR:
NADEEM FAROORI,
Ramanagram.
No comments:
Post a Comment