Dekh kar jisko tera naam ye dunya legi..
Ek aisi bhi ada hai tere diwane me..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow (U.P.)
Royega woh tanhayi me ye mujh ko yaqee'n hai..
Mumkin hi nahi meri wafawo'n ko bhulana..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.
Aakhirash maut usko bhi lekar gayi..
Jo apne ko khud Rab batata raha..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Jayanagar.
(Bangalore)
Kabhi phansne nahi deti hain bete ko balawo'n me.
Khuda ne bakhshi hai taseer woh Maa ki duawo'n me.
SHAYIR:
SABA Darbhangvi
Ham int ke badle me ata karte hain patthar..
Ehsaan kisi ka kabhi sar par nahi rakhte..
SHAYIR:
SHAMS Deobandi,
(U.P.)
Raat ke gehre sannate me hoti hai jab aahat si..
Lagta hai tum mujh se milne chupke chupke aaye ho..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Bhatakte phir rahe hain raah me
khana badosho'n
se.
Suku'n milta hame'n ghar me toh ham bhi ghar gaye hote.
-
BISMIL Bhatkali
Aag seene me lagi hai aur dhuwa'n uthta nahi..
Jo guzarti hai mere dil par baya'n kaise karu'n ???
SHAYIR:
Sibtain Parwana.
Zamee'n par haq jata kar umr bhar ladte rahe lekin..
Zamee'n ka haq ada karna pada
zair-e-zamee'n ho kar..
-
MUKHTAR BADRI
Har ek cheez thi kitni haseen jab tu tha..
Tere baghair toh har shai udaas lagti hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
No comments:
Post a Comment