Mai ne bila sabab tujhe patthar nahi kaha..
Kehna pada hai isliye k bolta nahi..
SHAYIR:
Shameem Hayat,
Bangalore...
Rashk aata hai taraqqi pe meri sab ko magar..
Jaanta koyi nahi kitna paseena nikla..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Kar diya ishq ne tere badnam yu'n..
Ungliya'n Log mujh par uthane lage..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi,
Saharanpur,
(U.P.)
Chhupawoge kaha'n tak raaz dil ke tum tabassum se..
Zaba'n se kuchh na bolo par ye aankhe'n bol deti hain..
-
Dr. Virottama
Kisi Ashiq se puchho Lazzate Aah-O-Buka kya hai..
Tadapna gar na ho ulfat me ulfat ka maza kya hai..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali
KHALID ye zaroori nahi sab zarf ko beche'n..
Jazbaat ko sikko'n se khareeda nahi karte..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.
The address of "BATOOL" is:
Monthly BATOOL (Khawateen Digest) Idara-e-Alhasanat.
Purani Khandsar, Rampur (U.P.) 244901.
Famous Urdu digest "BATOOL" is publishing ghazals of GHAZAL4U'S Poets,
Please subscribe this Digest and co-operate with us..
KHALID ye zaroori nahi sab zarf ko beche'n..
Jazbaat ko sikko'n se khareeda nahi karte..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.
Is baat ka toh ilm hai saare jahaan ko..
Urdu nawaz kha gaye Urdu zaban ko..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
Darbhanga, Bihar.
No comments:
Post a Comment