Roshan Zameer Khwahish-e-dunya mujhe bhi hai.
Lekin kisi chudel ka peechha karega kaun ???
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Ay parinde ye bulandi sab ko raas aati nahi..
Udte udte toot jayenge tere par laut ja..
SHAYIR:
ALTAF ZIA,
Maharashtra.
Aag seene me lagi hai aur dhuwa'n uthta nahi..
Jo guzarti hai mere dil par baya'n kaise karu'n ???
SHAYIR:
Sibtain Parwana.
Zamee'n par haq jata kar umr bhar ladte rahe lekin..
Zamee'n ka haq ada karna pada
zair-e-zamee'n ho kar..
-
MUKHTAR BADRI
Na hota zowq gar ham ko Ay BISMIL sher kene ka.
Samundar me ghamo'n ke doob kar ham mar gaye hote.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
Aksar ye guzarta hai guma'n mujh ko k dunya..
Woh khwab hai jiski koyi ta'beer nahi hai..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali...
Uski jab pehli nazar mujh se mili thi
Ay Suhail..
Sochna phir muskura kar sar jhukana yaad hai..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam
Pal bhar ko aaye Aa ke najane kidhar gaye.
Aise gaye k jaise woh ham se mukar gaye.
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
Log jalte hain toh jal jaye'n bala se apni..
Naam ke saath tera naam laga rakkha hai..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Jazba-e-shahe jaha'n sahl nahi hai Rahi..
Warna har shakhs ka ghar TAJ MAHAL ban jata..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.
No comments:
Post a Comment