Na hota zowq
sher-o-shayiri ka gar hame'n BISMIL.
Samundar me ghamo'n ke doob kar ham mar gaye hote.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali
Teri aankho'n se nigahe'n nahi hat'thi meri..
Jane kya dhoondta rehta hun teri aankho'n me..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
Tum bhi chaho toh chhidakne ko namak le aao.
Aaj zakhmo'n pe kaha'n rakhta hai marham koyi.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore
Na hasrat aish-o-ishrat ki Na daulat ki tamanna hai.
Mujhe har haal me bas aap hi ke sang rehna hai.
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Shab ki tareeki me tujh ko dekhne ke waaste..
Jugnuwo'n ke saamne daman ko phailana pada..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, Bihar.
Ye kaam ghair ka hota toh gham nahi hota..
Tumhara naam bhi shamil hai dil dukhane me..
SHAYIRAH:
Shayista Jamal, Bhopal.
Qadam
raah-e-mohabbat par na rakhta gar khabar hoti..
Kise maloom tha ye raasta kaanto bhara hoga..
-
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Bas ek jhalak dikhane ki khatir hi ham ko woh.
Aaye kidhar se aur najane kidhar gaye.
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere
Hasee'n woh aur bhi lagte hain ham ko is tarah YAHYA..
K jab ghusse me woh ham se kabhi takraar karte hain..
-
YAHYA AL-WASIQ
Qabil-e-rahm samajhne lage hamdard mujhe..
Mai nahi baant'tha gham ab kisi ghamkhwar ke saath..
SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri.
No comments:
Post a Comment