Qabil-e-rahm samajhne lage hamdard mujhe..
Mai nahi baant'tha gham ab kisi ghamkhwar ke saath..
SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri.
Hasee'n woh aur bhi lagte hain ham ko is tarah YAHYA..
K jab ghusse me woh ham se kabhi takraar karte hain..
-
YAHYA AL-WASIQ
Bas ek jhalak dikhane ki khatir hi ham ko woh.
Aaye kidhar se aur najane kidhar gaye.
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere
Ye kaam ghair ka hota toh gham nahi hota..
Tumhara naam bhi shamil hai dil dukhane me..
SHAYIRAH:
Shayista Jamal, Bhopal.
Qadam
raah-e-mohabbat par na rakhta gar khabar hoti..
Kise maloom tha ye raasta kaanto bhara hoga..
-
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Masiwa jashn ke sab sowg mana kar nikle..
Ghar se doli ki jaga mera janaza nikla..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Shehr me ek hami'n aayina saaz thay.
Isliye ham pe patthar uchhale gaye.
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi.
Saharanpur,
(U.P.)
Me usko jeene ki har pal duaaye'n deta hun..
Woh jisne soch rakhi hai mujhe mitane ki..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi.
Mai dil ki baat bata dunga usko Ay SURAJ.. Mera jo saamna ek baar us se ho jaaye..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Hari Har.
Insaan woh kehlane ke qabil nahi hoga..
Seene me agar dard bhara dil nahi hoga..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
(Karnataka)
No comments:
Post a Comment