Dear readers,
Agar aap GHAZAL4U ke Sho'ra ki Ghazale'n padhna chahte hain toh padhte rahiye...
*
B
A
T
O
O
L
D
I
G
E
S
T
*
Chheen kar mera suku'n rehta hai woh bhi muztarib..
Narm bistar toh muyassar hai magar sota nahi..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Khwabo'n ka fasila toh simatne ko tha abhi..
Ye kisne mere paao'n me zanjeer daal di..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
Tumhari reshami zulfo'n ka koyi dosh nahi..
Mai apne aap ko Qaidi banaye baitha hun..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
Chaashni lafzo'n ki dil par kar gayi aisa fusu'n..
Dosti kar baitha apne mumkina Qatil se ham..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI
Qatl-e-nahaq se kabhi dahshat mita karti nahi..
Khoon se khu'n ki dhulayi tu nahi kar payega..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
Khayal-e-yaar me dooba tha bach gaya warna..
Mai apne aap me hota toh mar gaya hota..
SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA, (Shamli)
Hamraah tum chale ho toh raste mahek utthe.
Kitna haseen lagne laga hai safar mujhe.
SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.
KAL na aaya hai kabhi aur na kabhi aayega..
Ham ne har AAJ magar KAL pe utha rakkha hai..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Jiski khushiyo'n ki khatir bahaya lahu..
Woh mujhe gham ki barish me nehla gaya..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD DEOBANDI. (U.P.)
No comments:
Post a Comment