Dil ki baat dil me hai,
Dil badi mushki me hai.
Kaise apnawon usay,
Jo ghair ki mehfil me hai..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki
Tasweer thi woh aisi k Zahid ne choom li.
Sach hai, Badal hi jaati hai niyet kabhi kabhi.
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
Ek woh bhi zamana tha ke rote thay bichhad kar.
Ab yaad bhi aate hai toh aksar nahi aate.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar
Jab nigaho k teer chalte hai,Achhe achhe shikar hote hai.
Dil B qabu me phir nahi rehta,Kaise kaise A waar hote hai.
-BISMIL
Barso tumhare pyar ki dil me agan liye..
Chalta raha hun dhoop me jalta badan liye..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.
Yu hi tanha mai guzarunga jawani apni..
Sochna mat k teri yaad me mar jawonga..
SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI Bhatkal..
Wafa shanaas kahein bhi nazar nahi aate..
Wafa shanasau se duniya hamari khali hai..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki
Hari Har
Tu mujh se bahut door bahut door hai lekin.
Phir bhi tu mere dil se kahein door nahi hai.
SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki, Bkl.
Teri yaado ke sahare jee raha hun aaj bhi.
Tujh ko mai bhoola hun ye tera khayal-e-khaam hai.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali (GOA)
Tujh se poori na huwi saath nibhane ki kasam..
Meri kismat mujhe lauta de kasam tu rakh le..
SHAYIR:
SARDAR AYAGH
Bangalore.
No comments:
Post a Comment