2 jism hain hamare magar rooh 1 hai..
Mai tujh se door reh k bhi tujh se juda nahi..
SHAYIR:
SYED Bhatkali..
*****
Aasaan nahi bhulana kisi dilnasheen ko..
Yaad aayegi hamari bhi soorat kabhi kabhi..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
Woh kal subh milne ko aayenge yaaro.
Unhe kya pata meri shaam aakhiri hai.
SHAYIR:
SURAJ Karnataki
Neel kanth Nagar
Hari Har
Aap k deed ki tamanna hai,Warna hum kab k mar gaye hote.
Mustaqil aap se hai hum warna,Kya pata kab kidhar gaye hote
HAMDARD
Khushiyo ke badle me tum ne mujh ko di hai bechaini..
Hanste gaate din maange thay sehmi sehmi raat mili..
-SHAMEEM HAYAT
Kisi aur par meri jaan mera dil fida nahi hai..
Mere dil me tu hi tu hai koyi doosra nahi hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Kitni matlab parast hai dunya.
Kaise apnau pe aitbar karein.
Zindgi bhar rahi yahi uljhan.
Tujhse nafrat karein k pyar karein
Tumhari raah me aankhein bichhaye baitha hun..
Bahut katthin hai shab-e-intzaar aa jao..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.
Haseen phool ki aarzu thi magar,Chaman me kabhi unke ja na sake.
Nigahe nigaho se SURAJ mili,Magar dil se dil to mila na sake.
Kabhi raaz-e-ulfat suna na sake,Gham-e-zindagani utha na sake.
A dil cheer kar b bata na sake,Yaqeen-e-mohabat dila na sake.
No comments:
Post a Comment