Dekhte hain woh mohabbat ki nazar se lekin..
Sab ki masoom nazar ho ye zaroori toh nahi..
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata..
Tumhe dekh kar achanak meri ruk gayi hain saanse..
Kahein ruk gaye ho jaise lamhaat chalte chalte..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Mai jiska naam
le le kar jiya karta
tha subh-o-shaam...
Usi zalim haseena ne mujhe barbad kar dala...
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI
Ek woh hain k unhe aaj bhi ehsaas nahi..
Muddato pyar ka iqraar kiya hai hum ne..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.
Tum hifazat se jo rakkho toh nawazish hogi.
Tohfatann sheesha-e-dil tum ko diya hai hum ne.
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.
Haseen shakl se matlab nahi mohabbat ko..
Woh ek ada hai jisay dil pasand karta hai..
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
Mere dil se yaqee'n tera kahein rukhsat na ho jaaye.
Kiye hain anginat waade koyi ek toh wafa kar de.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Tu ek baar kar de agar wada-e-nibah..
Ta-umr teri raah me baitha rahunga mai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
*****
No comments:
Post a Comment