Tere husn ki tapish se kahein jal na jaaye log...
Rukhsar se naqab hataya na keejye...
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Kisi ka koyi nahi ghamgusaar Rab ke siwa..
Kabhi kisi se tawaqqo na waasta rakhna..
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata.
Hamsafar ban kar chale hum door tak halaanke ab..
Ajnabi lagne lage hain jaane pehchane huwe..
-AHMED NAZEER
Vaniyambadi..
Nigah dar pe hai jaan-e-bahaar aa jao..
Nahi hai dil pe koyi ikhtiyar aa jao..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.
*****
Gar dard bhi sehte hai shikayat nahi karte..
Hum woh hai jo rishtau ki tijarat nahi karte..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.
Mohabbat karna hai toh karle taiyari tadapne ki.
Mohabbat me tadapne ke siwa kuch b nahi milta.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Mujh se milte hi nahi ho, sirf tadpate ho tum..
Raat ho ya din mujhe har waqt yaad aate ho tum..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali
Mohabbat karna hai toh karle taiyari tadapne ki.
Mohabbat me tadapne ke siwa kuchh b nahi milta.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Bichhde huwaun ke sog me rehna fuzool hai..
Milna bichhadna ye toh jahan ka usool hai..
SHAYIR:
SYED ABUBAKER Bhatkali
Khud woh apni zabaa'n se toh keh na saka..
Bas nazar se woh apna bana le gaya.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore
No comments:
Post a Comment