Har baar mil ke yunhi bichhadna hai zindagi..
Shikwa bhi kar sake na kisi hamsafar se ham..
SHAYIR:
SYED BHATKALI...
Mere dam se hai tere husn ka charcha ghar ghar..
Tere bayis huwi deewano'n me shohrat meri..
SHAYIR:
AFSAR Vaniyambadi.
Ham ne toh uske zulm ka shikwa nahi kiya..
Kya baat hai k aaj sitamgar udaas hai..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata...
Hajat-rawa hai kaun Khuda ke siwa SHAKEEB..
Zahir kisi pe apni zaroorat na keejye..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Kyun kisi ki chahat me raat din tu rota hai..
Aaj ke zamane me kaun kiska hota hai..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, BIHAR.
Sulagti dhoop me wada tha saath dene ka..
Bhari bahaar me woh chhod kar chala mujh ko..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
Usi ko jaane kyun
IBN-E-HASAN dil yaad karta hai..
Hazaro'n zakhm khaye zindagi me jis sitamgar se..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Socha toh door tak mera dushman koyi na tha..
Dekha toh Qatilo me mera Hamsafar bhi hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Chhod de nadaniya'n ab tu nahi bachcha HAYAT..
Dawdna titli ke peechhe na-gahaani chhod de..
SHAYIR:
Shameem Hayat
Mujhe tasleem hai Mana mohabbat zakhm deti hai..
Nahi phir bhi Haseeno se irada door rehne ka..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
No comments:
Post a Comment