Jinki khatir jaha'n ko mukhalif kiya..
Ab woh hi ham se daman bachane lage..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ, Deobandi. (U.P.)
Charagho ! Kab hawa ki doghli fitrat ko samjhoge.
Jalati hai yehi tumko Yehi tumko bujhati hai.
SHAYIR:
ANWAR HASAN Deobandi
Jab kaha tha tum ne mujh ko chashm-e-nam se Alvida..
Khoon ke aansu rulata hai woh manzar aaj bhi..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Tamtamate huwe chehre pe nasheeli aankhe'n.
Tujh ko dekha toh mujhe Chand bhi achha na laga.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Woh jo hansta phir raha hai hoga deewana koyi..
Dard ke shehro'n me RAHAT muskurata kaun hai..
-
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari.
Tumhare qurb ki hasrat liye jeeti hun mai liken..
Muqaddar me tumhara saath na hoga toh kya hoga ???
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Charagh-e-rahguzar ban kar yunhi jalta rahunga mai..
Andhero'n me kisi ke kaam aayegi Ziya meri..
SHAYIR:
ZIYA Karnataki.
Aaye toh thay woh dil me shuaaye'n liye huwe..
Jaate huwe charagh bujha kar chale gaye..
SHAYIR:
NIYAZ AHMED NIYAZ,
(Hubli)
Tum ko aana hai toh aawo hai bahut roshan safar..
Dil jala ke le chala hun roshni ke waaste..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.
Tere dil me jo aaye khat me likh dena khushi se tu.
Lifaafe par kabhi bhule se mera naam mat likhna.
SHAYIR:
SABA Darbhangvi
No comments:
Post a Comment