Mujh se chhupne ki ye koshish hai tumhari nakam.
Meri aankho'n me muqaiyad hai tumhari surat.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Husn aanchal me hi dobala huwa karta hai.. Achha dikhne keliye sar se dupatta na gira..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari.
Sabhi bach ke chal rahe hain Nahi koyi mera saathi.
Mera haal khush tha jab tak mere saath tha zamana.
SHAYIR:
JALAL MADANI
Uff tera ye hijab bhi kya be-hijab hai..
Zahir hai jis me husn ke johar naye naye..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)
Khilona jaan kar tum ne hamare dil se khela hai..
Parayi cheez par Jaanam hukumat yu'n nahi karte..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Mehfil me aap chonk utthe mere naam par..
Chhoti si baat phail ke afsana ban gayi..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
Museebat ki kahani sunne wala kaun tha aakhir..
Kahi khud apne dil se ham ne apni daasta'n tanha..
SHAYIR:
NAZISH Hyderabadi
Manzoor jaan-o-dil se hai mujh ko har ek saza..
Lillah mujh ko meri khata toh batayiye..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
Ye kehta phirta hai wayiz Qiyamat aane waali hai..
Magar is keliye khud us ne taiyari nahi ki hai..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali
Lahu ab ghazal ban ke dhalne laga hai..
Asar kar rahi hai mohabbat kisi ki..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow. (U.P.)
No comments:
Post a Comment