Likkhu'n mai uss pe sher toh aisa ho mojiza.
Kaghaz pe mujh ko uska hi chehra dikhayi de.
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi
Auraaq ye tamaam jalayenge bin padhe..
Andho ke haath me na yun dil ki kitab de..
SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI"
Bangalore.
Itna hai bas khulasa shayir ki zindagi ka..
Aashiq hai Husn ka woh Khushbu ka Chandni ka..
SHAYIR:
Dr. Fitrat bhatkali.
Zindagi ki ye haqeeqat hai bichhad kar tujhse.
Jaise raste me pada ho koyi patthar tanha.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar
Is Qadar rootth gaya hai mera hamdam mujh se..
Ab mujhe usko manane se bhi dar lagta hai..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Andheri raat hai tanhayi ka sannata chhaya hai..
Qadam uthte hain manzil ki taraf rasta nahi milta..
-
SUHAIL ARSHI,
Bhatkal.
Rayega'n mehnat kisi ki dosto jaati nahi..
Mehnato'n ka apni beshak pawoge inaam kal..
SHAYIR:
HAROON SAIT SALEEM
Badal sakenge woh kaise zamane ki taqdeer..
Jo ek rote huwe tifl ko hansa na sake..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Hanste hanste hi sahenge zindagi ke har sitam..
Mehrbani hai ye mere dosto'n ka hai karam..
SHAYIR:
NAGHMA Karnataki.
SURAJ wafa ka jis pe asar hi na ho koyi..
Woh dil meri nigaah me patthar dikhayi de..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.
No comments:
Post a Comment