Uske saaye me thakan apni mita leta tha..
Uski Qurbat thi mere waaste peepal ki tarah..
SHAYIR:
IMRAN RAQIM,
Kolkata.
Jin ki rag rag me ho imaan ka saiyaal rawa'n.
Woh bharosa nahi karte kabhi hathyaro'n par.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore
Sharm-o-haya ko rakh ke woh baalaye-taaq ab.
Phirti hai beniyaz dupatte se dar-ba-dar.
SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.
Meri zindagi thi udas C Jo mile ho tum to A haal hai,
Koi shakh jaise Gulab ki Kahein tharthara k lachak utthi.
-
ILYAS RAHAT
Mai apni pyas ki toheen kar nahi sakta..
Ye aur baat samandar pukaarta hai mujhe..
SHAYIR:
ZAMEER YUSUF,
Howrah. (W.B.)
Zehn darwaze pe rehta hai nazar aangan me..
Jiski Beti ho jawa'n uski rihayi kaisi..
SHAYIR:
AMEER ANSARI,
Hasanpur. (U.P.)
Wafa shi'aar hun mai is Qadar mere hamdam..
Tera Qusoor bhi apni khata lage hai mujhe..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Jalta huwa ghar dekh ke aata tha jise lutf.
Ab apne hi khud ghar ka dhuwa'n dekh raha hai.
SHAYIR:
SYED BHATKALI
(Karnataka)
Chand nadeeda baharo'n ki tamanna le kar..
Ham bhatakte rahe iflaas ke bazaro'n me..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
Padho toh aaj bhi har lafz se khushbu bikharti hai.
Kuch aise khat meri boseeda almari se nikle hain.
SHAYIR:
ZAFAR Ranipuri
No comments:
Post a Comment