Sunday, May 16, 2010

poetry 31

Bala se tera Qatl ho jaye Arshad..
Muqabil bhi jabir ke sach hi kaha kar..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif,
Chickballapur.



Hidayet Baap ki Maa ki naseehat yaad hai mujh ko.
Kabhi parde se baahar
Ay SABA mai jaa nahi sakti.
-
SABA DARBHANGVI
(Bihar)



Jism ke amraaz ka hai zikr kya is daur me.
Aaj ke insaan ki toh rooh bhi bimaar hai.

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.



Sangrezo'n se na khele'n toh ye kis se khele'n.
In ghareebo'n k muqaddar me khilone hain kaha'n ???

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali



Daf'atan aayi hai hichki mujhe baithe baithe.
Yaad is waqt kiya hoga yaqeenan usne.

SHAYIRAH:
Dr.Virottama Sargam.
Bangalore



Diya khamosh ho jaye toh mera dil jala lena.
Tumhare raaste me bas charagh-e-dil hi kaafi hai.

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.



Zara se jhoot se baazi mai jeet sakta tha..
Ye haar hi meri sachchayi ki sanad bhi hai..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola...



Neende'n Haram karte hain ye makhmali ghilaaf.
Jo chain se sula sake bistar talash kar.

SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI,
Rajasthan



Neende'n **** karte hain ye makhmali ghilaaf.
Jo chain se sula sake bistar talash kar.

SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI,
Rajasthan



Mere aangan ke gamle me kabhi jab phool khilta hai..
Teri tasweer mere dil ki takhti par ubharti hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN

No comments: