Sunday, May 16, 2010

poetry part 27

HAPPY NEWS:
Agar aap GHAZAL4U k Shora ki mukammal ghazlo'n se lutf andoz hona chahte hain toh padhte rahiye.


"BATOOL DIGEST"


Ungliyo'n par ab gini jaati hain saanse'n zeest ki.
Kya pata is zindgi par maut ka kab waar hai.


SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD


Ta'leem de rahe thay jo kal tak hijab ki..
Sad-haif unke ghar me hi toota hai ab hijab..


SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.


Mujhe jis din se sab ke saamne tum ne kaha apna.
Nahi us din se mere dil me kuch bhi dar zamane ka.


SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI


Meri har ek saans tere Qurb se hai munsalik..
Alvida kehna kabhi mat bhool kar bhi ai sanam..


SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL


Jinke haato'n ko khilono'n ki zaroorat thi abhi.
Aaj un bachcho'n ke haato'n me khuli talwar hai.


SHAYIR:
MANZOOR Bahraichi.


Hujoom-e-shehr me mil jaaye koyi apna sa..
Mera bhi khatm ho ye intizaar ka mosam..


SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.


Jo log mohabbat ko samajhte hain ibadat..
Woh log mohabbat ki tijarat nahi karte..


SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...


Tadapta hai hamara dil toh aansu bhi nikalte hain..
Sawere jab hamare saamne akhbaar hota hai..


SHAYIR:
Zia Karnataki...


Bachcho'n ko ab iflaas ne sanjeeda kar diya.
Phal daar darakhto'n pe bhi patthar nahi aate.


SHAYIRAH:
ILYAS RAHAT,
Bangalore

No comments: