Sunday, May 16, 2010

urdu poetry part 22

Ek dosheeza ki khwahish toh faqat hai itni.
Aish-o-ishrat nahi haato'n me Hina maange hai.

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
(Hubli)



Jab kisi mod pe thak haar ke ruk jaaye hayat..
Ham naye khwab saja kar usay dete hain fareb..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI...



Unki janib utth gayi thi jhuk ke bas meri nazar..
Aur bahekne ka meri nazro'n pe ilzaam aa gaya..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI.



Hame'n bichhde huwe arsa huwa hai ek-dooje se..
Tasauwur me magar hamraah rehte hain hamesha woh..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Kis samth chal padi hai meri kashti-e-hayat.
Mauj-e-nafas najane kaha'n le chali mujhe.

SHAYIR:
FAROOQ FARHAT,
Vaniyambadi.



Woh hamare haq me bolenge hame'n ummeed thi..
Waqt aaya bolne ka woh magar khamosh hain..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)



Kis samth chal padi hai meri kashti-e-hayat.
Mauj-e-nafas najane kaha'n le chali mujhe.

SHAYIR:
FAROOQ FARHAT,
Vaniyambadi.



Mujh ko ye sikhaya hai meri MAA ne azal se..
Izzat ka Khandhar achchha hai zillat ke Mahal se..

SHAYIR:
SHAMEEM Kiratpuri.

No comments: