Sunday, May 16, 2010

poetry part 26

Rukh-e-taba'n pe bikhre gesuwow ko dekh kar tere..
Guma'n hota hai jaise badalo'n me Chand chhup jaye..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN



Apne jazbaat ka izhaar karo ya na karo..
Chehre padh lete hain ham log risalo'n ki tarah..

SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.



Teri chahat ko tu hi mera muqaddar kar de..
Mai toh Qatra hun tu phaila ke Samandar kar de..

SHAYIR:
NIYAZ UMARI, Hubli.



Zindagi ke sehra me khud hain tishna-lab lekin..
Haadiso'n ko ham phir bhi apna khu'n pilate hain..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI



Jab se chakkhi hai tere phool se honto'n ki mithaas..
Tab se lagta hai shahed bhi mujhe pheeka pheeka..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT



Baitha hun leke
hasrat-e-nakaam dosto..
Udne ki aarzu hai mere baal-o-par nahi..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi...



Sukoon mujh ko muyassar aa gaya hai neeli aankho'n me..
Jab unko dekh leti hun samandar yaad aata hai..

(SHAYISTA JAMAL)



Leke darpan saamne hasrat se baithi thi SABA..
Unko jab dekha toh mai ne jhat se parda kar liya..
-
SABA DARBHANGVI,
(Bihar)



Shakhsiyet har shakhs ki uski zaba'n me qaid hai..
Tujh ko izzat chahiye toh bad-zabani chhod de..

SHAYIR:
Ayub Baig Danish.



Ro ro ke pata poochhta phirta hai ajal ka..
Hans hans ke jise aap ne jeene ki dua di..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)

No comments: