Sunday, May 16, 2010

poetry part 25

Aish-o-ishrat me hain beta aur bahu pardes me.
Chashm-e-maadar raah takte takte patthar ho gayi.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal



Bhula diya hai jise tum ne apne dil se kabhi..
Woh pyar dil me mere barqarar aaj bhi hai..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD



Aish-o-ishrat me hain beta aur bahu pardes me.
Chashm-e-maadar raah takte takte patthar ho gayi.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal



Mujhe yaqeen hai ek din woh laut aayega..
Mai jiski raah me palke'n bichhaye baithi hun..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
__ __ __





Nahi koyi tamanna hai mere dil me siwa iske..
Meri har saans teri saans se marboot ho jaaye..

SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL



Khoon-e-jigar se ehsaaso'n ke kaghaz par..
Anjani tasweer banaye baitha hun..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)



Mai jis sawal ki jur'at na kar saka us se..
Woh meri mez pe uska jawab chhod gaya..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Dil kisi ka tod dena toh bahut asaan hai..
Ghuncha-e-dil khil nahi sakta hai murjhane ke baad..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.



Door reh kar mujh se kho baithoge chehre ki kashish..
Meri nazro'n ki badaulat hain teri ranayiya'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT



Jisne chaha hai tumhe aaj woh kis haal me hai..
Tum ne dekha nahi ek baar bhi mud kar usko..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam

No comments: