Tuesday, May 25, 2010

urdu poetry part 127

Lut jaayegi ghamo'n ki ye daulat bhi dosto..
Seene ke daagh sab ko dikhaya na keejye..

SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki Bhatkal.







Zulfau ko jhatak dena diwane ki maiyet par..
Bas itni tamanna hai mehkega kafan barsau..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore...





Lahu-e-dil se tere gham ko jab se seencha hai..
Khayal khilne lage hain kisi Kali ki tarah..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI





Gila hai ghair se mujh ko na kuch shikayet hai.
Sitam toh ye hai k apnau ne zulm dhaya hai.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore




Khushi ki raah me do hi qadam chale thay magar.
Ghamo'n ne mil ke ye puchha mizaj kaisa hai.

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, Hubli







Jangalo me ab ja kar apna ghar basaye'n hum..
Shehr me darindo ke har qadam pe daire hain..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..







Kya ye hi naye daur ki tahzeeb hai yaaro..
Jisko bhi yaha'n dekho Adakaar lage hai..

SHAYIR:
ABDULLA RAAZ, DEOBANDI (U.P.)







Baad muddat ke baitha hun likhne ghazal..
Koyi tasweer pesh-e-nazar chahiye..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi...







Be-shak Husain tum ho ujalaw ki aabru..
Tum surkhru nahi ho toh phir kaun surkhru..

SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkal.







Deen-e-haq ko is jahan me phir se zindah kar diya..
Karbala ke ghaziyo'n ka meer-e-lashkar woh Husain..
-
GHOUSE PEER HAMDARD








No comments: