Tuesday, May 25, 2010

urdu poetry part 128

Unhi Yazeedi afsaano ko dohrate rehte hain log..
Farq hai ye bas kirdaro ke naam badalte rehte hain..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT




Tareekh me jo baab shaheedo ka bana hai..
Us baab ka unwaan Husain Ibn-E-Ali hai..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.





Khoon-e-hasnain rayiga'n na gaya,Sar ko dekar imaam kehlaye.
Bain shamsheer ne kiye barso,Phool murjhaye chand gehnaye.
RAHAT







Yazeed-e-waqt se takrana chahte hain ham..
Jigar hame'n bhi ataa kar "ALI" ke Laalo'n ka..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Maidan-e-karbala me toh Hazrat Husain ne..
Marna qubool kar liya paspa nahi huwe..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...







Har zamane me janam leta hi rehta hai Yazeed..
Sach agar bologe nezah sar utha le jaayega..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT...







Kumbe ke har ek fard ko Qurban kar diya..
Batil ke aage sar na jhukaya Husain ne..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.







Fikr aur ehsaas ki hai ek mukammal dasta'n..
Yaum-e-aashura mahez ek shakhs ka qissa nahi..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.







Khud nichhawar dee'n pe koyi aaj hota hai kaha'n.
Saara kumba kar diya dee'n par nichhawar woh Husain.
-
GHOUSE PEER HAMDARD







Haath hargiz na diya par sar ko apne de diya.
Deen ka parcham uthaya jaan de kar woh Husain.

SHAYIR:
G.P.Hamdard,
Davangere.








No comments: