Tuesday, May 25, 2010

urdu poetry part 134

Dars deta hai sharafat ka jo aurau'n ko yahan..
Usko khud ilm nahi hai k sharafat kya hai..

SHAYIR:
SYED MALIKI Bhatkal...







Sayi-e-paiham se toh taqdeer badal sakti hai..
Bhool karte hain jo Qismat ka gila karte hain..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...







Shamye'n jala jala ke bujhata hun raat bhar..
Bakhsha hai iztirab tere intizar ne..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri...





Shamye'n jala jala ke bujhata hun raat bhar..
Bakhsha hai iztirab tere intizar ne..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri...





Shab-e-firaq me rona tha bayis-e-taskeen..
Jo aag dil me lagi thi bujha gaye aansu..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.







Mujh ko toh apni jaan se pyari hai zindagi..
Lekin mai kya karun k tumhari hai zindagi..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Ehsaas ho raha hai shiddat se ab ye mujh ko..
Sauda-e-dil kiya kyun us bewafa se mai ne..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal..

No comments: