Tuesday, May 25, 2010

urdu poetry part 130

Tum door sahi Majboor sahi Par dil se hamare door nahi.
Bachpan ki mohabbat aaj talak zinda hai hamare seene me.

IBN-E-HASAN







Chhupana ishq ka mumkin nahi yaaro zamane se.
Woh halat se tumhari aap hi pehchan leta hai.

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI
Bangalore.







Ye kiska naam tu bhi
Ay dil-e-nadan leta hai.
Zamana jaanta hai ishq sab ki jaan leta hai.

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.







Jin keliye jeene ki ada bhool gaya mai..
Woh puchhte hain meri tabahi ka sabab bhi..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore-570019







Aandhiya'n waqt ki tum ko na uda le jaye'n.
Ghar se niklo toh magar soch samajh kar logo.
-
YUSUF GOUHAR,
Shahjhanpur. (U.P.)

No comments: