Tuesday, May 25, 2010

urdu poetry part 132

Kya jaane kab zamana juda kar de ab hame'n..
Bunyad rakkhi jaati hai diwaar keliye..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Toota tha zehn se teri yaado ka silsila..
Soorat dikha ke tu ne toh betaab kar diya..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har..







Wodh liye hain badal usne ja baitha kis kone me.
Zehn me uske jaane kya hai rehta hai sharmaya Chaand.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT







Sar se aanchal dhal gaya aur is tarah girta gaya..
Jo dupatta tha gale ka haar ban kar reh gaya..

SHAYIR:
SYED Bhatkali.







Be shak hame'n bhi nek hidayat naseeb ho..
Lekin kabhi gunaho se tauba toh ham kare'n..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Tu ne jise Lapait k juzda'n me rakh diya.
Nadaan ! Hai wahi teri manzil najat ki.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar (U.P.)







Gunaho ko chhupa kar ho gaye ho mutmayin lekin,
Bacha pawoge khud ko kis tarah uski adalat se??

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Raah-e-khuda me jiska bhi sajde me sar gaya.
Donau jaha'n me uska muqaddar sanwar gaya.

SHAYIR:
YAQOOB MOHSIN,
Meerut (U.P.)







Maut ham log jisko kehte hain,Ek waqfa hai zindagani ka.
Zindagi bas wahi haqeeqi hai,A to ek bulbula hai paani ka.

S.A.SAIF







Najane aaj bhi toote udaas dil me mere..
Tumhari yaad ke armaan kyun machalte hain..

SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere.






No comments: