Tuesday, May 25, 2010

urdu poetry part 126

Mujh ko tadapta chhod ke jaate ho rooth kar..
Dete ho kis gunaah pe aisi saza mujhe..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF







Himmat agar hai tujh me toh ailan-e-ishq kar..
"Dar dar ke pyar karne me koyi maza nahi.."

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Kahein aisa na ho k woh meri ulfat ko thukra de..
Isi dar se mai
izhar-e-mohabbat kar nahi paata..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Khushiya'n mohabbato'n ki toh hoti hain aisa itr.
Ek din bikhar hi jayega kab tak chhupawoge.

SHAYIRAH:
Dr. Virotama, B'lore





Mera wujood mujh se ye kehta hai baarha.. Posheeda koyi rooh ki gehrayiyo'n me hai..

SHAYIR:
AFZAL SARWARI,
Ramanagram.







Is tarha pyar milta hai dunya me aaj kal..
Jaise kisi ko dhoop me shabnam naseeb ho..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Woh ek muddat jo unki bazm me ham ne guzaari thi..
Khuli jab aankh toh ek khwab si mehsoos hoti hai..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM







Aap se tark-e-ta'alluq hai mera barsau huwe..
Phir khayalo'n me mere chup chaap aata kaun hai..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT







Pyar se haath Maa ne jo sar par rakha..
Ban gayi phir khuda ka karam ungliya'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







Mai Ladakpan me jinko pakad k chala..
Ho gayi hain bahut mohatram ungliya'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore....

No comments: