Wednesday, May 26, 2010

urdu poetry part 141

Likh likh ke khat uda diye hum aasman par..
Paigham Baab-e-yaar pe pahoncha gayi hawa..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.







Woh haseen shai jise tum Qous-e-Qazah kehte ho.
Mere MEHB00B ki tooti huwi angdayi hai.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar.







Gham-e-firaaq me jeena muhaal hai lekin..
Har ek dard ka darma'n hai iski talkhi me..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.....







Satayega agar Maa ko woh indhan hai jahannam ka..
Bacha sakta nahi koyi agar Maa baddua kar de..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





SHAKEEB Aap ne sajde toh kar liye gin kar..
Khuda ke lutf-o-karam ka bhi kuchh shumar toh ho..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB







Teri rahmat ka aasra lekar,Maine shayed gunah kiye honge.
Muaaf kar de mere Khuda mujhko,Kaam maine siyah kiye honge.

BISMIL







Hashr ke roz hashr kya hoga,Aazmayish wahan kadi hogi.
Bach na pawoge kar k tawilaat,Sakht insaaf ki chhadi hogi.

-M.A.Qamar







Tumne tobah to kar liya lekin,Q dubara gunah karte ho.
Pehle tobah phir uske baad gunah,Umr yunhi tabah karte ho

G.P.HAMDARD







Khush na ho day ke saza mujh ko akelepan ki..
Tu bhi ho jayega ek roz sitamgar tanha..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
Muzaffar nagar.





Dono jahan me gar tumhe hona hai kamiyab..
Lete raho duaaye'n sada waliden ki..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali....

No comments: