Wednesday, May 26, 2010

urdu poetry part 142

Fikr ka beej chalo dil ki zamee'n me bole'n..
Ped ho jayega saya jo ghana deta hai..

SHAYIR:
S.ARSHAD SAIF,
Chickballapur.





Ye jo mila hai husn tumhe be-misaal hai..
Itra rahe ho jaise ye apna kamaal hai..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore..



Andazah jisko khud na ho apni udaan ka..
Woh toh raha zameen ka na aasman ka..

SHAYIR:
GOUHAR Tarikervi,
Mysore...







Mil gayi taqat tujhe toh zulm se parhez kar..
Ye na ho jaye kahein darya rawani chhod de..

SHAYIR:
A.Ayub Baig Danish.





Mere naghmat-e-rangee'n se bahelte hain sabhi lekin..
Khabar kis ko hai pehlu me mere toota huwa dil hai..

-BISMIL Bhatkali.







Jannat ki tujh ko Hoor kahun Apsara kahun..
Kya kya khayal aaye tujhe dekhne ke baad..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.







Ye tere tasauwur ki karamat hai yaqeenan..
Sehra tha meri aankh me gulzar se pehle..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Zindagi hai 2 din ki phir bhi dekhiye TALIB.
Pyar hai parinde ko kitna aashiyane se.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga,Bihar







Woh kabhi pardes se mayoos lauta hi nahi..
Le ke ghar se jo gaya Maa ki dua pardes me..

SHAYIR:
SABA Darbhangvi, Bihar.







Haath sar pe rakh ke di Maa ne dua waqt-e-safar.
Ja tujhe mahfooz rakkhega khuda pardes me.

SHAYIR:
SABA Darbhangvi, Bihar.








No comments: