Wednesday, May 26, 2010

urdu poetry part 144

Log har baat ka afsana bana dete hain..
Apne aanchal ka meri Qabr pe saya na karo..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.







Dear readers,
Enjoy the colourful urdu couplets of renowned poets of India & also persuade ur dear ones to activate GHAZAL4U.









Nichhawar phool kal hote thay hum par jin dareecho'n se.
Wahein se aaj hum par raat din patthar baraste hain.

FAIYAZ SHAKEEB









Murdah dil me jaan phir se aa gayi..
Aa gaya jo khat tera likkha huwa..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Neel kanth nagar,
Hari Har.







Band palke kiye baitha jo mai tanhayi me..
Phir wahi saamne tasveer purani aayi..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







Aadmi me aur tujh me farq hi ab kya raha?
Ay darinde aa tujhe mai aadmi ka naam du'n..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore..







Lag raha hai aaj kal
Mah-e-December hi siyah.
Jud gayi hai jiski 6 tareekh bebas Ram se.

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram







Babri masjid ko kar ke sharpasando ne shaheed..
Jaise phir dohra diya ho hamla-e-ashabe feel..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT.









Lab pe tha aah-o-fogha'n dil bhi gham se chaak tha.
6 December ka woh manzar kis qadar ghamnak tha.

SHAYIR:
SABA Darbhangvi.







Kufr ki aandhi hamara kya bigadegi bhala..
Hain munauwar dil hamare kalma-e-tauheed se..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

No comments: