Wednesday, May 26, 2010

urdu poetry part 151

Tum apne khwabo'n ko aankho'n me Qaid kar Lo NADEEM.
Badal na jaaye kahein ye bhi mosamo'n ki tarah.

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI







Najane kaunsi khidki se neend aa jaaye..
Khuli rakhi hain isi dhun me khidkiya'n ham ne..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.







Tumhare Qurb ki hasrat liye jeeti hun mai liken..
Tumhara saath Qismat me nahi hoga toh kya hoga ???

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Loot kar rahbar ne mere paao'n tode is tarah..
Saamne manzil hai aur mai utth ke ja sakta nahi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM







Wada kiya hai vasl ka dilbar ne aaj raat..
Yarab shab-e-visaal ki koyi saher na ho..

SHAYIR:
HAR00N SAIT SALEEM,
Bangalore.







Na aaj aaya hai SHAYISTA aur na aayega..
Wafa ke naam pe har aitibaar jata raha..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal (M.P.)







Ho gaya azaad mai diwaar-o-dar ki Qaid se..
Dasht aangan ho gaya Sehra mera ghar ho gaya..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)







Apna khayal rakhna meri jaan tum sada..
Tum khud hi apne paas amanat ho ab meri..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali,
(Karnataka)







The address of "BATOOL" is:

Monthly BATOOL (Khawateen Digest) Idara-e-Alhasanat.
Purani Khandsar, Rampur (U.P.) 244901.





Dear readers,
Agar aap GHAZAL4U ke Sho'ra ki Ghazlo'n se lutf andoz hona chahte hain toh padhte rahiye...

"BATOOL DIGEST"

No comments: