Wednesday, May 26, 2010

urdu poetry part 147

Umr bhar baate'n karengi aap se Ghazle'n meri..
Tum mere ash'aar ke lafzo me dhal kar dekhiye..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT




Mere kandho pe meri hasrato ka..
Janazah khud uthata ja raha hun..

SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard
Davangere..
** * **







Bahut ranjoor hota ja raha hun,Ghamo se choor hota ja raha hun.
Umange paas aati ja rahi hain,Mai unse door hota ja raha hun.









Mohabbat ka nahi koyi ta'alluq shakl-o-surat se..
Milata hai Khuda hi dil se dil ko apni Qudrat se..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN.







Meri khwab-gaah me rakh gaya koyi dahshato ke mujassame.
Mujhe do na duaye'n neend ki mai haseen khwab se dar gaya.

-I.RAHAT







Dard badh jaaye toh yun isko ghata lete hain..
Yaad me unki hum ashkau ko baha lete hain..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki.







Mai bhala qatl ka ilzam lagata kis par.
Log mere thay sabhi aur nagar mera tha.

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Shimla nagar,Hubli







Kitna gehra tha mohabbat ka ye rishta Ae NIZAM..
Chot aayi thi unhe deedah-e-tar mera tha..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Hubli.







Woh galiyaa'n aaj bhi yun hi hamari raah takti hai.
K jin galiyo me bachpan me tumhare sath khela tha.

SHAYIR:
Shameem hayat

No comments: