Wednesday, May 26, 2010

urdu poetry part 149

Unhe Qurbaniyo'n se rok payega koyi kaise..
Khuda ki raah me jo jaan bhi Qurban karte hain..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Woh mera toota huwa dil hai koyi kya jaane..
Mai jisko eid ka tohfa samajh ke le aaya..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Charau dishaaye'n jaise rango se bhar gayi..
Usne jo aa ke EID MUBARAK kaha mujhe..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Gham manaye'n k khushi aansu bahaaye'n k hanse'n.
Yaad-e-saddam liye aayi hai Eid-ul-azha.

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.







Karo RAHAT jo Qurbani khuloos-e-dil zaroori hai..
Adalat me Khuda ki niyyato par faisale honge..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT.







Khuda ke waaste jo bhi kiya karte hain Qurbani..
Khuda ki khaas hoti hai suno un par maherbani..

SHAYIRAH:
NAGHMA Karnataki.







Riyakari mita deti hai Qurbani ke jazbe ko..
Agar karni hai Qurbani Riya se paak ho jaao..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Hamein kuch b kahe dunya Hamein dunya se kya matlab?
Khuda ke waaste Qurbaniya'n dete rahenge hum..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER.







Gile shikwe bhula do ab mohabbat ko jila bakhsho..
Ye moqa hai gale mil lo kadurat ko mita kar tum..

-Saifullah Arshad Saif







Tera deedar Tera vasl muqaddar na huwa..
Eid ke din bhi mujhe chain muyassar na huwa..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.






No comments: