Tuesday, June 1, 2010

urdu poetry part 213

Guzarta hun gali se uski k didaar ho jaye..
Khuli hoti hai jab bhi uske ghar ki khidkiyaa yaaro..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Hawa mere dariche me kuchh aise sarsarati hai,
Mai tera hun tu meri hai yahi aawaz aati hai.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore







Mai najane kisliye karta hun uska intzaar..
Zindagi me jisko mai ne aaj tak dekha nahi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal







Jis taraf utth gayi nazar meri,Shaam b ban gayi sehar meri.
Aap chhup jaye lakh pardo me,Dhoond legi magar nazar meri.

-RAHI







Kehne ko toh kehte hain k mar jayenge lekin..
'Marta nahi dunya me koyi hijr k gham se..'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Tu b awrau sa matlabi nikla,
Door ja kar bhula diya mujhko.
Teri dunya sanwaar di mai ne,
Aur tu ne mita diya mujh ko.
BISMIL







Haseeno ko ijazat hai k woh aa kar rahe isme..
Khula rakkha hai unke waaste dil ka makaan yaaro..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali






No comments: