Tuesday, June 1, 2010

urdu poetry part 216

Mujhe aisi ummeed tum se nahi thi..
K tum pher loge nazar dheere dheere..

(Plz persuade ur dear ones to activate GHAZAL4U)







Yaaro ye koyi khel ka maidan nahi hai..
Kehte hai jisay ishq woh aasan nahi hai..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali....







Inkar bhi karte hain wo mujh se mohabbat ka.
Takye me magar meri tasweer bhi rakhte hain.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Ek bar mohabbat me jo kha jaate hain dhoka..
Phir dil woh lagane ki jasarat nahi karte..

SHAYIR:
SHAUKAT ALI, DELHI..







Jo log mohabbat ko samajhte hain ibadat..
Woh log mohabbat ki tijarat nahi karte..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...







Jo log mohabbat ko samajhte hain ibadat..
Woh log mohabbat ki tijarat nahi karte..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...







Dil de bhi diya tum ko bharosa bhi kiya hai,
Sunte hai yahi aap khiyanat nahi karte.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar U.P.









Zehno me panapti hai Hawas jinke mere dost..
Kuchh aur woh karte hain Mohabbat nahi karte..

SHAYIR:
BISMIL bhatkali...







Kaise kahu nasaaz tabi'at hai k tum toh..
Bimar-e-mohabbat ki iyadat nahi karte..


SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali....

No comments: